In dino Dilli phir waisi dikhti hai
Jaisi taah-umr dekhte aaye hai
Jaisi bachpan se chahte aaye hai
Woh sard raatein, wahi bawri dhund
Nukkad se aati adrak chai ki khusbu
India gate par khilkhilaate bacche
Haath me gubbare aur gajjakk liye
Haathon mein haath liye deewane kuch
Dhund ki aad mein mohabbat farmatein
Sadak ke kone mein zard (yellow) se gummbad ya khandarr (tombs)
Pujhraj (yellow sapphire) chaand ko apni jawani ke kisse sunate hue
Cycle par purane tarane gaate hue majdoor
Garma-garam daal roti ke sapne dekh ghar jaate hue
Koodedaan mein fate kapdo ke beech sote kutte
Paas mein kahi lakkad jalaye kuch chowkidaar
Nahari, haleem aur galauwti* ke zaika lete khushnaseeb (*non-veg dishes)
Rickshaw mein shahjahanabad (Walled City) ka chakkar lete kuch purjosh (enthusiasts)
In dino Dilli phir waisi dikhti hai
Jaisi hamesha se chahte aaye hai

Dilli ka taalluk purana hai sardiyon se
Oon ke dastaane (gloves), angeethi ki lau (flame) se
Amrood, gaajar ka halwa aur mufli se
Purane qile me dhoop saikte deewano se
Romaanvi (romantic) mijaz aur khushnuma raaton se
Munjamid (frozen) saweron (morning) mein kapkapate jismo se
Mandi house ki chai aur naroji nagar ke pakodo se
Charpai mein baithe hukka peete sardaro se
Lohri se kuch din pehle udti patango se
Chhajje (terrace) par fadfadate mukhtalif (different) parindo (birds) se
Dilli ka taalluk purana hai sardiyon se
Khoobsurti se, ishq se aur aashiqana zindagi se