Yeh makaan kiraye ka hai
Isme na bhar aur yaadein
Ghar hota to alag boat hoti
Eento main bhi jagah bana lete

Koi ek ataichi khol ke dekh
poora joolos niklega
yaadein hi nahi
apna ateet niklega
kapde, khilone, seepiya
jisko tatol
guzre hue kal ka janaza niklega

Yeh makaan kiraye ka hai
Isme na bhar aur yaadein…

kitabe khol
to niklenge jazbaat adhoore
kisi gulab ki pankhdi ka
fasana niklega

Yeh makaan kiraye ka hai
Isme na bhar aur yaadein…

almaari khol
to mehkenge kisse purane
kayi be-jawaab khat
to kayi adhoore alfaazo ka
kaafila milega

Yeh makaan kiraye ka hai
Isme na bhar aur yaadein…

kahi par zang hai kahi par kaai
un tasveero ko dekh
Aankhon mein jo naya dikh raha hai
wo khwab purana dikhega

Yeh makaan kiraye ka hai
Isme na bhar aur yaadein…